Kuchh rishte khuda banata hai,
Kuchh riste log banate hain.
Par kuchh log bina koi riste ke hi riste nibhate hain
shayad wahi dost kahlate hain.

Pyaar karna utana hi aasan hai
jitna mitti se mitti par mitti likhna.
lekin pyaar nibhana utna hi mushkil hai
jitna pani se pani par pani likhna.


Dosti Ghazal hai, gungunaane ke liye.
Dosti nagma hai, sunaane ke liye.
Yeh vo jazba hai jo sabko milta nahin,
Kyun ke hausla chaahiye dosti nibhaane ke liye.

Na karna kabhi pyar kisi musafir se,
Unka thikana bahut door hota hai.
Wo kabhi bewafa bhi to nahin hote,
Magar unka jana jarur hota hai.

Yaad karte hain yaron ko,
yadon se dil bhar aata hai
Kal sath jiya karte the sab,
aaj milne ko dil taras jata hai.

Samander ki ret me ghar mile na mile,
Fir ye jindgi duniya me mile na mile
Karte hain tumhein yaad dil se,
Kya pata kal ye dil dhadkata mile na mile.


Bahar ane pr khilte gulab dekhe,
Hasin dil churate behisab dekhe.
Jo Gulab ke sung lipat ke dekhe,
Wahi mohabbaton me kanton ko khilte dekhe.

Ye dua hai humari ki tumhari jindgi sambhal jaye,
Har nazar bas pyar hi pyar laye.
Tumhe jiski talash ho mere dost,
Khuda kre vo khud teri talash me aye.

Dil ke rishte ka koi naam nahin hota.
Har raaste ka koi mukaam nahin hota,
Agar nibhane ki chahat ho dono taraf se,
To kasam se koi bhi rista naakaam nahin hota.

Aankh me asqe dil me dard diya.
Sab kuch diya par hosla na diya
meri kismat tune mujhe har cheej di par
jiski aarjo thi vahi nahin diya.

Waqt noor ko benoor kar deta hai,
waqt zakhm ko bhi nasoor kar deta hai,
kaun chahta hai aapke jaise doston se bichadna,
par waqt sbko majboor kar deta hai.


Aankhon me apke arman chod jayege,
jindagi me apke kuch nishan chod jayege,
bas le jayenge ek kafan apne liye,
apke liye saara jahaan chod jayege.

Najaron me ap hamare mehman ban gaye
Baatein ki aisi ki hamari muskan ban gaye.
Paas rehkar bhi log hamare na ban sake.
Aap door rahkar bhi hamari jaan ban gaye.

Keemati palon ko yuin na bitaana,
hastein rehna rokar hamein na rulana.
hum yaad hain aap ko itna hi kaphi hain,
kabhi bhul bhi jaana to hamein na batana.

Mushkil is duniya mein kuch bhi nahi,
phir bhi log apne irade tod dete hain,
agar sache dil se ho rishta to sitare bhi,
apni jagah kisi aur ke liye chor date.

Dua hai rab se kabhi aap ko dard ka ehsaas na de,
pal koi aisa na gujare jab mushkiloin mein hum saath na dein,
kisi saans mein hum aapko bhulein rab humein aisi saanse na de.

Aankhon ki aawaj kuch aur hoti hai,
aansuon ki aag kuch aur hoti hai.
kaun chahta hai bichadna apno se,
par kismat ki baat kuch aur hoti hai.

Aisi kya dua doon main aapko,
jo aapke labon pe hasi k phool khila de,
bas yahi dua hai humari khuda se,
ki sitaron se roshan aapki taqdeer bana de.

Muskuaran hi khushi nahin hoti,
umar bitana hi zindagi nahin hoti,
khud se bhi jyada khyal rakhna padta hai dosti ka,
sirf dost kah dene se hi dosti nahin hoti.

2 rishton se chalti hai ye zindagi,
1 khushi ek gum 2 logon se mehkati hai ye dosti,
1 aap or 1 hum dekhna or gahri hogi ye dosti,
agar sms karte rahe 1 aap 1 hum.

Gamo ki dhup mai kabi jana na pade,
in hasin palkon ko kabi bhigana na pade,
bin mange hi mil jaye khusiyan unko itne,
ki phir kise dua k liye sir jukhana na pade.


Share/Bookmark
date Tuesday, February 16, 2010

0 comments to “Shayari in Hindi, Shayari Love”

Leave a Reply: