Ek aisa geet gaana chahta hoon main
Khushi ho ya gam bus muskurana chahta hoon main
Doston se dosti to har koi nibhata hai
Dushmanon ko bhi apna dost banana chahta hoon main
Jo hum ude oonchai pe akele to kya naya kiya
Saath me har kisi ke pankh failana chahta hoon main
Voh sochte hain ki main akela hoon unke bina
Tanhai saath hai mere, itna banana chahta hoon
Ae khuda, tamanna bas itni si hai..kabool karna
Muskuarate hue hi tere paas aana chahta hoon main.


Share/Bookmark
date Monday, March 19, 2012

0 comments to “ ”

Leave a Reply: