Ye baat samaj mai aai nai.
Or mummy ne samajhaai nai

Mai kaise meethi baat karu?
Jab meethi chez koi khaai nai.

Ye chand kaise maamu hai?
Jab mummy ka wo bhai nai.

Kya lambe baal hain bhaalu k?
Kya uski triming karaai nai.

Naani ke pati jab naana hai
Daadi ke pati jab daada hai
Didi ke pati kyu dida nai?

Ye baat samaj me aai nai
Or mummy ne samjhaai nai.

Samander ka rang kyu neela hai?
Jab neel Kisi ne milaai nai.

Jab schol mai itni neend aati hai
To kyu bed waha rakhwaai nai?

Ye baat samaj mai aai nai
Or mummy ne samajhai nai


Share/Bookmark
date Saturday, March 5, 2011

0 comments to “ ”

Leave a Reply: