Mohabbat kya hai ye ab tak me jaan na paya!
Kahi divangi kabhi pagalpan hai batlaya!
Koi Kahta mohabbat naam har dam saath rahne ka !
Jo baante har khushi milke har gam saath rahne ka !
Chale har raah tere saath jaise ho tera saaya !
Mohabbat kya laila aur majnoo ki kahani me !
Ya mumtaj ki yaadon bhari is nishani me !
ki hai jo heer aur raanjhe ke kisson me paaya !
Mohabbat naam apne pyaar par sab kuch lutane ka !
Na ho afsos khatir yaar ke sab kuch gavane ka!
Rahe vo dur jitna mann k paas hi aaya!
Ye vo ahsaas jo rishto me bandh kar rah nahin sakta !
Kare mahsoos na koi khud hai kya kah nahin sakta !
Samajh aaya na bin jamane bhar ne samjhaya !
Saturday, November 19, 2011